Showing posts with label Poetry. Show all posts
Showing posts with label Poetry. Show all posts

Saturday, May 30, 2009

Ye Ishq Nahin Aasaan

Took me a long time to find the original poem on the net. The fact that I thought it was by Ghalib didn't help either. Someone also mentioned it was by Mir Taqi Mir which led to another futile search. Finally found it on a forum and reproducing here both Hindi and English.

इक
लफ्ज़--मोहब्बत का अदना सा फ़साना है
सिमटे तो दिल--आशिक फैले तो ज़माना है

ये किस का तसव्वुर है ये किसका फ़साना है
जो अश्क है आंखों मे, तस्बीह का दाना है

हम इश्क के मारों का इतना ही फ़साना है
रोने को नहीं कोई, हसने को ज़माना है

वो और वफ़ा-दुश्मन मानेंगे ना माना है
सब दिल की शरारत है आंखों का बहाना है

क्या हुस्न ने समझा है क्या इश्क ने जाना है
हम ख़ाक-नशीनों की ठोकर मे ज़माना है

वो हुस्न--जमाल उनका ये इश्क--शबाब अपना
जीने की तमन्ना है
मरने का ज़माना है

या वो थे खफा हमसे या हम थे खफा उनसे
कल उनका ज़माना था आज अपना ज़माना है

अश्कों के तबस्सुम में आहों के तरन्नुम में
मासूम मोहब्बत का मासूम फ़साना है

आंखों में नामी सी है चुप-चुप से वो बैठे हैं
नाज़ुक सी निगाहों में नाज़ुक सा फ़साना है

है इश्क--जुनून-पेशा हाँ इश्क--जुनून-पेशा
आज एक सितमगर को हंस हंस के रुलाना है

ये इश्क नहीं आसान इतना तो समझ लीजे
एक आग का दरिया है और दूब के जन है

आंसू तो बहोत से हैं आंखों में 'जिगर' लेकिन
बिंध जाए सो मोटी है रह जाए सो दाना है

-जिगर मुरादाबादी

------------------------------------------

Ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa saa fasana hai
Simtay to dil-e-aashique phaile to zamana hai

Ye kis ka tasavvur hai ye kiska fasana hai
Jo ashk hai aankhon mein, tasbiih ka daanaa hai

Ham ishq ke maaron ka itnaa hii fasana hai
Rone ko nahiin koi, hasne ko zamana hai

Vo aur wafa-dushman maanenge na mana hai
Sab dil kii shararat hai aankhon ka bahana hai

Kya husn ne samajha hai kya ishq ne jana hai
Ham khaak-nashiinon kii thokar mein zamana hai

Vo husn-o-jamaal unkaa ye ishq-o-shabaab apna
Jiine kii tamanna hai
marnaa kaa zamana hai

Yaa vo the khafa humse ya hum the khafaa unse
Kal unka zamana tha aaj apana zamana hai

Ashkon ke tabassum mein aahon ke tarannum mein
Maasoom mohabbat ka maasoom fasana hai

Aankhon men namii sii hai chup-chup se vo baithe hain
Nazuk sii nigahon men naazuk sa fasana hai

Hai ishq-e-junuun-peshaa haan ishq-e-junuun-peshaa
Aaj ek sitamgar ko hans hans ke rulana hai

Ye ishq nahiin aasaan itnaa to samajh liije
Ek aag kaa dariya hai aur duub ke jana hai

Aansuu to bahot se hain aankhon men 'Jigar' lekin
Bindh jaaye so motii hai rah jaaye so daanaa hai

-Jigar Muradabaadi

Friday, May 29, 2009

Maah-E-Ru

Ankhon se ojhal,
Dekhun main pal-pal,
Tasavvur ki nazar char-su.
.....Maah-e-ru

Phir teri yaad ki ghatayein,
Is dil pe chaake reh gayi.
Phir mere naam ki sadayein,
Mujhko bulake reh gai.
Isqh hai bebas,
Zindagi behas,
Phiraye darbadar kubaku.
.....Maah-e-ru

Monday, April 23, 2007

वक़्त नहीं Waqt Nahin

हर ख़ुशी है लोगों के दामन में,
पर एक हंसी के लिए वक़्त नहीं।
दिन रात दौड़ती दुनिया में,
जिन्दगी के लिए ही वक़्त नहीं।।

माँ कि लोरी का एहसास तो है ,
पर माँ को माँ कहने का वक़्त नहीं।
सारे रिश्तों को तो हम मार चुके
अब उन्हें दफनाने का भी वक़्त नहीं ।।

सारे नाम मोबाइल में हैं,
पर दोस्ती के लिए वक़्त नहीं।
गैरों कि क्या बात करें ,
जब अपनों के लिए ही वक़्त नही ।।

आंखों में है नींद बड़ी ,
पर सोने का वक़्त नही ।
दिल है ग़मों से भरा हुआ ,
पर रोने का भी वक़्त नहीं ।।

पैसों कि दौड़ में ऐसे दौडे,
कि थकने का भी वक़्त नहीं ।
पराये एहसासों की क्या कद्र करें ,
जब अपने सपनो के लिए ही वक़्त नहीं ।।

तू ही बता ऐ जिन्दगी ,
इस जिन्दगी का क्या होगा ,
कि हर पल मरने वालों को ,
जीने के लिए भी वक़्त नहीं ।।
---------------------------------------------------
Har khushi hai logoon ke daaman mein
Par ek hansi ke liye waqt nahin
Din-raat daudthi duniya mein
Zindagi ke liye waqt nahi

Maa ki lori ka ehsaas to hai
Par maa ko maa kehne ka waqt nahin
Saare rishton ko to hum maar chuke
Ab unhe dafnane ka bhi waqt nahin

Saare naam mobile mein hai
Par dosti ke liye waqt nahin
Gairon ki kya baat karein
Jab apnon ke liye bhi waqt nahin

Ankhon mein hai neend badi
Par sone ka waqt nahin
Dil hai gamon se bhara hua
Par rone ka bhi waqt nahin

Paise ki daud mein aise dauday
Ki thakne ka bhi waqt nahin
Paraye ehsason ki kya kadr karein
Jab apne sapnon ke liye bhi waqt nahin.

Tu hi bata aye zindagi
Is zindagi ka kya hoga
Ki har pal marne valoon ko
Jeenay ke liye bhi waqt nahin