Monday, April 23, 2007

वक़्त नहीं Waqt Nahin

हर ख़ुशी है लोगों के दामन में,
पर एक हंसी के लिए वक़्त नहीं।
दिन रात दौड़ती दुनिया में,
जिन्दगी के लिए ही वक़्त नहीं।।

माँ कि लोरी का एहसास तो है ,
पर माँ को माँ कहने का वक़्त नहीं।
सारे रिश्तों को तो हम मार चुके
अब उन्हें दफनाने का भी वक़्त नहीं ।।

सारे नाम मोबाइल में हैं,
पर दोस्ती के लिए वक़्त नहीं।
गैरों कि क्या बात करें ,
जब अपनों के लिए ही वक़्त नही ।।

आंखों में है नींद बड़ी ,
पर सोने का वक़्त नही ।
दिल है ग़मों से भरा हुआ ,
पर रोने का भी वक़्त नहीं ।।

पैसों कि दौड़ में ऐसे दौडे,
कि थकने का भी वक़्त नहीं ।
पराये एहसासों की क्या कद्र करें ,
जब अपने सपनो के लिए ही वक़्त नहीं ।।

तू ही बता ऐ जिन्दगी ,
इस जिन्दगी का क्या होगा ,
कि हर पल मरने वालों को ,
जीने के लिए भी वक़्त नहीं ।।
---------------------------------------------------
Har khushi hai logoon ke daaman mein
Par ek hansi ke liye waqt nahin
Din-raat daudthi duniya mein
Zindagi ke liye waqt nahi

Maa ki lori ka ehsaas to hai
Par maa ko maa kehne ka waqt nahin
Saare rishton ko to hum maar chuke
Ab unhe dafnane ka bhi waqt nahin

Saare naam mobile mein hai
Par dosti ke liye waqt nahin
Gairon ki kya baat karein
Jab apnon ke liye bhi waqt nahin

Ankhon mein hai neend badi
Par sone ka waqt nahin
Dil hai gamon se bhara hua
Par rone ka bhi waqt nahin

Paise ki daud mein aise dauday
Ki thakne ka bhi waqt nahin
Paraye ehsason ki kya kadr karein
Jab apne sapnon ke liye bhi waqt nahin.

Tu hi bata aye zindagi
Is zindagi ka kya hoga
Ki har pal marne valoon ko
Jeenay ke liye bhi waqt nahin